Socha Tha Usse Bichhdenge Toh Mar JaayengeSocha tha usse bichhdenge toh mar jaayengeJaan leva khauf tha bas, hua kuch bhi nahi
Jaane Wale Dil Ko Pathar Kar GayeJaane wale dil ko pathar kar gayePhir kissi ko dekh kar dil dhadka hi nahin
Kah Rahi Hai Hashar MeinKah rahi hai hashar meiKah rahi hai hashar mein woh aankh sharmaai huiHaae kaise is bhari mahfal mein ruswaai huiAaeene mein har ada ko dekh kar kahte hain wohAaj dekha chaaheye kis kis ki hai aai huiKah tu ai gulcheen, aseeraan-e-qafas ke waasteTor lun do chaar kalian main bhi murjhaai huiMain tau raaz-e-dil chhipaaun, par chhipa rahne bhi deJaan ki dushman, yeh zaalim aankh lalchaai huiGhamza-o-naaz-o-ada sab mein hai haya ka lagaaoHaae re bachpan, keh shokhi bhi hai sharmaai huiWasl mein khali hui aghiyaar se mahfal tau kyaSharm bhi jaae tau mein jaanun keh tanhaai huiGard uri aashiq ki turbat se tau jhunjala ke kahaWah sar charhne lagi, paaon ki thukraai hui
Koi Naa Jaan SakaKoi naa jaan sakKoi naa jaan saka woh kahan se aaya thaAur us ne dhoop se baadal ko kyon milaya thaYeh baat shayad logon ko pasand aayi nahinMakaa'n chota tha lekin bohat sajaya thaWoh ab wahan hai jahan raste nahin jateMain jis ke sath yahan pichle saal aya thaSuna hai us pe chehekne lage hain parindey bhiWoh aik pau'daa jo hum ne kabhi lagaya thaChiragh doob gaye kapkapaye honton parKisi ka hath hamare labo'n tak aya thaBadan ko chorr ke jana hai aasman ki tarafSamundro'n ne humein yeh sabaq parhaya thaTamam umar mera dam isi dhuyein mein ghuttaWoh ik chiragh thaa maine usey bhujaya tha
Guzre Hue TaveelGuzre hue taveeGuzre hue taveel zamane ke baad bhiDil mein raha woh chhod ke jaane ke baad bhiPehlu mein reh ke dil ne diya hai bahut farebRakha hai us ko yaad bhulaane ke baad bhiQurbat ke baad or bhi qurbat ki talaashDil mutmain nahin hai tere aane ke baad bhiJo tu yahan nahin hai magar tu yahin pe haiTera hi zikar hai tere jaane ke baad bhiLagta hai kuch kaha hi nahi hai usey farazDil ka tamaam haal sunane ke baad bhi